Wednesday 6 February 2013

Laga Toh Tha!

Ok, before you go on to read this,you need to know this is my first Hindi poem.
And about why I wrote this.I wrote this because I'd made a promise to a somebody that I'd write a Hindi poem for her.

Also,I've done zero editing on this and not even completed it!So,in all fairness,it is the rough draft which will not have a fair draft.

P.S. - I welcome brickbats.

Here it goes, hoping that that 'somebody' I wrote it for,gets to read it!



Kuch adhoora adhoora sa
lagta hai yeh din raat
chain ki neend toh door ki baat
roye bina din guzaara nahi jaata!

Pyaar ne toh meri zindagi bana di thi
Bhare the sirf khushiyan!
Lagne laga tha zindagi ki har manzil pa liya tha,
tabhi hi zindagi ne liya pariksha!

Laga toh tha hawa ke 
jhonkon ki tarah khatam ho jaayega.
Lekin yeh socha bhi na tha
ki wahi toofan bankar sab khatam kar dega!

Laga toh tha ki wahi hawa
sab theek bhi kar degi,
Lekin iss baar hawa ka rookh
Use door leta gaya.

Laga toh tha un vaadon ka kuch matlab hoga
Kyunki humne bhi kiye the dher saare!

Pata laga jab woh vaadein sirf lafz the,
dard toh bahut hua tha.
Lekin yeh bechara dil,
Rone ke sivaay,kar bhi kya sakta tha?

Koshish toh kiya tha use vaapas paane,
zor poora lekin nahi lagaya.
Pehle toh tha khud ke andar ka darr,
kahi aur na bigad jaaye,uska bhi tha darr.

Karne toh chahta tha un daron ka saamna,
lekin mere pyaar ne usse karne se roka.
Reh gaye the iss beech mai adhoore dher saare sapne,
aur dher saari ankahi baatein!

Laga toh tha kuch baaton ke khayal rakhe jaate hai,
Lekin mere toh kuch ansune hi lagne lage hai!

Pyaar toh mai usse ab bhi karta hoon,
ya pehle se thoda zyada hi!
Izhaar karne ka toh dil tadapta hai,
Lekin sunne wala hai koi nahi!

Kaanon me toh goonjta hi rahega,
woh tumhari purani meethi si baatein.
Lekin bahut bura lagta hai,
jab ehsaas hota hai woh ban gaye hai sirf yaadein!

Yaad toh ab bhi bahut aati ho,
Aankhon me aate hai bahut aasoon..........


                                                                     - Vineet A Y




1 comment:

  1. Very simple yet so touching... great start:)

    ReplyDelete